الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النِّكَاحِ
The Book of (The Wedlock)
بَابُ هَلْ يَرْجِعُ إِذَا رَأَى مُنْكَرًا فِي الدَّعْوَةِ:
Chapter. Should a person return if he sees something disapproved of (from the standpoint of religion) in the party?
Hadith Number: Q5181
وراى ابو مسعود صورة في البيت فرجع ودعا ابن عمر ابا ايوب فراى في البيت سترا على الجدار، فقال ابن عمر:" غلبنا عليه النساء، فقال: من كنت اخشى عليه فلم اكن اخشى عليك والله لا اطعم لكم طعاما فرجع".
Aur Ibn Masood razi Allahu anhu ne (walime wale ghar mein) ek tasveer dekhi to woh wapas aa gaye. Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ek martaba Abu Ayub razi Allahu anhu ki dawat ki (Abu Ayub razi Allahu anhu ne) un ke ghar mein diwar par parda para hua dekha. Ibn Umar razi Allahu anhuma ne (mazrat karte huay) kaha ke auraton ne hamain ko majboor kar diya hai. Is par Abu Ayub razi Allahu anhu ne kaha ke aur logon ke mutalliq to mujhe is ka khatra thu lekin tumhare mutalliq mera yeh khayal nahi thu (ke tum bhi aisa karo ge) wallah! Main tumhare yahan khana nahi khaoon ga chunanche woh wapas aa gaye.
Hadith Number: 5181
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن نافع، عن القاسم بن محمد، عن عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم،" انها اخبرته انها اشترت نمرقة فيها تصاوير، فلما رآها رسول الله صلى الله عليه وسلم قام على الباب فلم يدخل فعرفت في وجهه الكراهية، فقلت: يا رسول الله، اتوب إلى الله وإلى رسوله، ماذا اذنبت؟ فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ما بال هذه النمرقة؟ قالت: فقلت: اشتريتها لك لتقعد عليها وتوسدها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إن اصحاب هذه الصور يعذبون يوم القيامة ويقال لهم: احيوا ما خلقتم، وقال: إن البيت الذي فيه الصور لا تدخله الملائكة".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne byaan kiya, kaha ke mujh se Imam Malik ne byaan kiya, un se Nafi ne, un se Qasim bin Muhammad ne aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne khabar di ke unhon ne ek chhota sa gadda khareeda jis mein tasveerein bani hui thien. Jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay dekha to darwaze par kharay ho gaye aur andar nahi aaye. Main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chehre par khafgi ke aasaar dekh liye aur arz kiya: ya Rasool Allah! Main Allah aur us ke Rasool se tauba karti hoon, main ne kya ghalati ki hai? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh gadda yahan kaise aaya? Byaan kiya ke main ne arz kiya main ne hi usay khareeda hai taake Aap is par baithein aur is par taik lagayein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke in tasveeron ke (banane walon ko) Qayamat ke din azab diya jaye ga aur in se kaha jaye ga ke jo tum ne tasveer saazi ki hai usay zinda bhi karo? Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jin gharon mein tasveerein hoti hain un mein (rahmat ke) farishte nahi aate.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة