الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب فَضَائِلِ الْقُرْآنِ
The Book of The Virtues of The Quran
بَابُ فَضْلِ الْقُرْآنِ عَلَى سَائِرِ الْكَلاَمِ:
Chapter. The superiority of the Quran above other kinds of speech.
Hadith Number: 5020
حدثنا هدبة بن خالد ابو خالد، حدثنا همام، حدثنا قتادة، حدثنا انس بن مالك، عن ابي موسى الاشعري، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" مثل الذي يقرا القرآن كالاترجة طعمها طيب وريحها طيب، والذي لا يقرا القرآن كالتمرة طعمها طيب ولا ريح لها، ومثل الفاجر الذي يقرا القرآن كمثل الريحانة ريحها طيب وطعمها مر، ومثل الفاجر الذي لا يقرا القرآن كمثل الحنظلة طعمها مر ولا ريح لها".
Hum se Abu Khalid Hudbah bin Khalid ne byaan kiya, kaha hum se Hammam bin Yahya ne byaan kiya, kaha hum se Qatadah ne byaan kiya un se Anas bin Malik ne byaan kiya aur un se Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is ki (momin ki) misal jo Quran ki tilawat karta hai sangtaray ki si hai jis ka maza bhi lazeez hota hai aur jis ki khushboo bhi behtareen hoti hai aur jo momin Quran ki tilawat nahi karta is ki misal khajoor ki si hai is ka maza to umdah hota hai lekin is mein khushboo nahi hoti aur is bad-kaar (munafiq) ki misal jo Quran ki tilawat karta hai rayhanah ki si hai ke is ki khushboo to achhi hoti lekin maza karwa hota hai aur is bad-kaar ki misal jo Quran ki tilawat bhi nahi karta indrain ki si hai jis ka maza bhi karwa hota hai aur is mein koi khushboo bhi nahi hoti.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5021
حدثنا مسدد، عن يحيى، عن سفيان، حدثني عبد الله بن دينار، قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إنما اجلكم في اجل من خلا من الامم، كما بين صلاة العصر ومغرب الشمس، ومثلكم ومثل اليهود والنصارى كمثل رجل استعمل عمالا"، فقال:" من يعمل لي إلى نصف النهار على قيراط؟ فعملت اليهود، فقال: من يعمل لي من نصف النهار إلى العصر على قيراط؟ فعملت النصارى، ثم انتم تعملون من العصر إلى المغرب بقيراطين قيراطين، قالوا: نحن اكثر عملا، واقل عطاء، قال: هل ظلمتكم من حقكم، قالوا: لا، قال: فذاك فضلي اوتيه من شئت".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya, un se Yahya bin Saeed Ansari ne byaan kiya, un se Sufyan Sawri ne kaha ke mujh se Abdullah bin Dinar ne byaan kiya, kaha ke main ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musalmano! Guzri ummaton ki umron ke muqabla mein tumhari umr aaisi hai jaise Asr se sooraj doobne tak ka waqt hota hai aur tumhari aur Yahud o Nasara ki misal aaisi hai ke kisi shakhs ne kuch mazdoor kaam par lagaye aur in se kaha ke ek qiraat mazdoori par mera kaam subah se dopahar tak kaun kare ga? Yeh kaam Yahudiyon ne kiya. Phir us ne kaha ke ab mera kaam aadhe din se Asr tak (ek hi qiraat mazdoori par) kaun kare ga? Yeh kaam Nasara ne kiya. Phir tum ne Asr se Maghrib tak do do qiraat mazdoori par kaam kiya. Yahud o Nasara Qayamat ke din kahein ge hum ne kaam zyada kiya lekin mazdoori kam paayi? Allah Ta'ala farmaye ga kiya tumhara kuch haq maara gaya? Woh kahein ge ke nahi. Phir Allah Ta'ala farmaye ga ke phir yeh mera fazl hai, main jise chahoon aur jitna chahoon ata karoon.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة