الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابٌ:
Chapter.
Show diacritics
Hadith Number: 4971
حدثنا يوسف بن موسى، حدثنا ابو اسامة، حدثنا الاعمش، حدثنا عمرو بن مرة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: لما نزلت وانذر عشيرتك الاقربين سورة الشعراء آية 214، ورهطك منهم المخلصين خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى صعد الصفا فهتف يا صباحاه، فقالوا: من هذا؟ فاجتمعوا إليه، فقال:" ارايتم إن اخبرتكم ان خيلا تخرج من سفح هذا الجبل، اكنتم مصدقي؟" قالوا: ما جربنا عليك كذبا، قال:" فإني نذير لكم بين يدي عذاب شديد"، قال ابو لهب: تبا لك ما جمعتنا إلا لهذا، ثم قام، فنزلت تبت يدا ابي لهب وتب سورة المسد آية 1، وقد تب هكذا قراها الاعمش يومئذ.
Hum se Yusuf bin Musa ne byaan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , un se Amr bin Murrah ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke jab yeh aayat nazil hui «wa anzhir asheeratakal aqrabeena» ”Aap apne qareebi rishta-daron ko drayiye aur apne giroh ke in logon ko drayiye jo mukhliseen hain .“ To Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Safa pahari par charh gaye aur pukara: ya sabahaahu! Quraish ne kaha yeh kaun hai , phir wahan sab aa kar jama ho gaye . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ke tumhara kya khayal hai , agar main tumhein bataoon ke ek lashkar is pahar ke peeche se aane wala hai , to kya tum mujh ko sacha nahi samajho ge ? Unhon ne kaha ke hamain jhoot ka Aap se tajurba kabhi bhi nahi hai . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir main tumhein is sakht azab se drata hoon jo tumhare samne aa raha hai . Yeh sun kar Abu Lahab bola , tu tabah ho , kya tu ne hamain isi liye jama kiya tha ? Phir Nabi salla Allahu alaihi wasallam wahan se chale aaye aur Aap par yeh surat nazil hui «tabbat yada abi lahabiw-wa tabb» al-kh yani ”donon hath toot gaye Abu Lahab ke aur woh barbad ho gaya .“ Aamash ne yun parha «wa qad tabb» jis din yeh hadees riwayat ki .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain