الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {فَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّكَ وَاسْتَغْفِرْهُ إِنَّهُ كَانَ تَوَّابًا}:
Chapter. The Statement of Allah: "So, glorify the praises of your Lord, and ask His forgiveness. Verily! He is the One Who accepts the repentance and forgives." (V.110:3)
Hadith Number: Q4970
على العباد والتواب من الناس التائب من الذنب.
«tawwabun» ke maani bandon ki tauba qabool karne wala . Aadmiyon mein «tawwabun» usay kahein ge jo gunah se tauba kare .
Hadith Number: 4970
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، قال: كان عمر يدخلني مع اشياخ بدر، فكان بعضهم وجد في نفسه، فقال: لم تدخل هذا معنا ولنا ابناء مثله، فقال عمر: إنه من قد علمتم، فدعاه ذات يوم، فادخله معهم، فما رئيت انه دعاني يومئذ إلا ليريهم، قال: ما تقولون في قول الله تعالى إذا جاء نصر الله والفتح سورة النصر آية 1؟ فقال بعضهم: امرنا ان نحمد الله ونستغفره إذا نصرنا وفتح علينا، وسكت بعضهم فلم يقل شيئا، فقال لي: اكذاك تقول يا ابن عباس؟ فقلت: لا، قال: فما تقول، قلت: هو اجل رسول الله صلى الله عليه وسلم اعلمه له، قال: إذا جاء نصر الله والفتح وذلك علامة اجلك، فسبح بحمد ربك واستغفره إنه كان توابا، فقال عمر: ما اعلم منها إلا ما تقول".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya , un se Abu al-Bishr ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Umar bin Khattab razi Allahu anhu mujhe burhay Badri sahabah ke saath majlis mein bithate thay . Baaz (Abdur Rahman bin Auf) ko is par aitraz hua , unhon ne Umar razi Allahu anhu se kaha ke isay Aap majlis mein hamare saath bithate hain , is ke jaise to hamare bhi bache hain ? Umar razi Allahu anhu ne kaha ke is ki wajah tumhein maloom hai . Phir unhon ne ek din Ibn Abbas razi Allahu anhuma ko bulaya aur unhein burhay Badri sahabah ke saath bithaya (Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke) main samajh gaya ke Aap ne mujhe unhein dikhane ke liye bulaya hai , phir un se poocha Allah Ta'ala ke is irshad ke mutalliq tumhara kya khayal hai «izha jaa'a nasrullahi wal fathu» al-kh yani ”jab Allah ki madad aur fatah aa pahunchi“ baaz logon ne kaha ke jab hamain madad aur fatah haasil hui to Allah ki hamd aur us se istighfar ka hamain aayat mein hukm diya gaya hai . Kuch log khamosh rahe aur koi jawab nahi diya . Phir Aap ne mujh se poocha: Ibn Abbas! Kya tumhara bhi yahi khayal hai ? Main ne arz kiya ke nahi . Poocha phir tumhari kya rai hai ? Main ne arz ki ke is mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ki taraf isharah hai . Allah Ta'ala ne Nabi salla Allahu alaihi wasallam ko yahi cheez batayi hai aur farmaya «izha jaa'a nasrullahi wal fathu» ke ”jab Allah ki madad aur fatah aa pahunchi“ yani phir yeh Aap ki wafat ki alamat hai . Is liye Aap apne Parvardigar ki paaki wa tareef byaan kijiye aur us se bakhshish maanga kijiye . Beshak woh bara tauba qabool karne wala hai . Umar razi Allahu anhu ne is par kaha main bhi wahi jaanta hoon jo tum ne kaha .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة