الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة {قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ}:
SURAT AL-KAFIRUN (The Disbelievers)
Show diacritics
Hadith Number: Q4967-2
يقال: لكم دينكم: الكفر ولي دين الإسلام، ولم يقل ديني لان الآيات بالنون، فحذفت الياء كما قال يهدين ويشفين، وقال غيره: لا اعبد ما تعبدون: الآن ولا اجيبكم فيما بقي من عمري، ولا انتم عابدون ما اعبد: وهم الذين، قال: وليزيدن كثيرا منهم ما انزل إليك من ربك طغيانا وكفرا.
Kaha gaya hai ke «lakum deenukum» se murad kufr hai aur «waliya deeni» se murad Islam hai «deeni» nahi kaha kyunke aayat ka khatm noon par hua hai . Is liye yahan bhi yaa ko hazf kar diya , jaise bolte hain «yahdeeni wa yashfeeni» . Auron ne kaha ke ab na to main tumhare maboodon ki ibadat karoon ga yani jin maboodon ki tum is waqt ibadat karte ho aur na main tumhara yeh deen apni baqi zindagi mein qabool karoon ga aur na tum mere mabood ki ibadat karo ge . Is se murad kuffar hain jin ke mutalliq Allah Ta'ala ne irshad farmaya hai «wa layazeedanna kaseeram minhum ma unzhila ilayka mir rabbika tughyaanan wa kufran» al-aayat yani ”aur jo wahi Aap ke Rabb ki taraf se hai Aap par nazil ki jati hai . Un mein bahut se logon ko sarkashi aur kufr mein woh zyada kar deti hai .“