الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة {وَالْفَجْرِ}:
SURAT AL-FAJR (The Break of Day or the Dawn)
Hadith Number: Q4942-3
وقال مجاهد: الوتر الله إرم ذات العماد: يعني القديمة والعماد اهل عمود لا يقيمون، سوط عذاب: الذي عذبوا به، اكلا لما: السف، وجما: الكثير، وقال مجاهد: كل شيء خلقه فهو شفع السماء شفع والوتر الله تبارك وتعالى، وقال غيره: سوط عذاب: كلمة تقولها العرب لكل نوع من العذاب يدخل فيه السوط، لبالمرصاد: إليه المصير، تحاضون: تحافظون وتحضون تامرون بإطعامه، المطمئنة: المصدقة بالثواب، وقال الحسن: يا ايتها النفس المطمئنة: إذا اراد الله عز وجل قبضها اطمانت إلى الله واطمان الله إليها ورضيت عن الله ورضي الله عنها، فامر بقبض روحها وادخلها الله الجنة وجعله من عباده الصالحين، وقال غيره: جابوا: نقبوا من جيب القميص قطع له جيب يجوب الفلاة يقطعها، لما: لممته اجمع اتيت على آخره.
Mujahid ne kaha «watr-un» se murad Allah Ta'ala hai . «Irama zhaatil imaadi» se purani qaum e Aad murad hai . «imadun» ke maani khaima ke hain , yeh log khana-badosh thay . Jahan pani chara paate wahin khaima laga kar reh jate . «sauta azhaabin» ka maani yeh ke un ko azab diya gaya . «aklan lamman» sab cheez samait kar kha jana . «hubban jamman» bahut mohabbat rakhna . Mujahid ne kaha Allah ne jis cheez ko paida kiya woh ( «shaf-un») jora hai aasman bhi zameen ka jora hai aur «watr-un» sirf Allah Paak hi hai . Auron ne kaha «sauta azhaabin» yeh Arab ka ek muhawara hai jo har ek qism ke azab ko kehte hain min jumla un ke ek kore ka bhi azab hai . «labil-mirsaadi» yani Allah ki taraf sab ko phir jana hai . «la tahaad-doona» (alif ke saath jaise mashhoor qirat hai) muhafazat nahi karte ho baazon ne «muthad-doona» parha hai yani hukm nahi dete ho , «al-mutma'innatu» woh nafs jo Allah ke sawab par yaqeen rakhne wala ho , momin , kamil-ul-iman . Imam Hasan Basri ne kaha «nafsul mutma'innatu» woh nafs ke jab Allah is ko bulana chahe (maut aaye) to Allah ke paas chain naseeb ho , Allah is se khush ho , woh Allah se khush ho . Phir Allah is ki rooh qabz karne ka hukm de aur is ko bahisht mein le jaye , apne naik bandon mein shamil farma de . Auron ne kaha «jaaboo» ka maani kureed-kureed kar makan banana yeh «jaybun» se nikla hai jab is mein «jaybun» lagayi jaye , isi tarah Arab log kehte hain «fulaanun yajoobul falaata» woh jangal qata karta hai «lamman» Arab log kehte hain «lamamtuhu» jama mein is ke akheer tak pahunch gaya .