الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ وَقَوْلُهُ: {لاَ تُحَرِّكْ بِهِ لِسَانَكَ لِتَعْجَلَ بِهِ}:
Chapter. The Statement of Allah:“Move not your tongue concerning (the Quran, O Muhamamd) to make haste therewith." (V.75:16)
Hadith Number: Q4927
وقال ابن عباس: سدي: هملا، ليفجر امامه: سوف اتوب سوف اعمل، لا وزر: لا حصن سدى هملا.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke «suda» yani be-qaid, aazad jo chahe woh kare. «li-yafjura amaamahu» yani insan hamesha gunah karta rehta aur yahi kehta rehta hai ke jaldi tauba kar loon ga, jaldi achhe amal karoon ga. «la wazara» ay «la hisna» yani panah ke liye koi qila nahi mile ga.
Hadith Number: 4927
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا موسى بن ابي عائشة، وكان ثقة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا نزل عليه الوحي حرك به لسانه"، ووصف سفيان يريد ان يحفظه، فانزل الله لا تحرك به لسانك لتعجل به سورة القيامة آية 16.
Hum se Humaydi ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya, kaha hum se Musa bin Abi Aisha ne byaan kiya aur Musa siqa thay, unhon ne Saeed bin Jubayr se aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam par wahi nazil hoti to Aap salla Allahu alaihi wasallam is par apni zaban hilaya karte thay. Sufyan ne kaha ke is hilaane se Aap ka maqsad wahi ko yaad karna hota tha. Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «la tuhar-rik bihi lisanaka lita'jala bihi» ”Aap jaldi jaldi lene ke liye is par zaban na hilaya karein, is ka jama kar dena aur is ka parhwa dena, yeh har do kaam to hamare zimma hain.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة