الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {ثُمَّ تَوَلَّوْا عَنْهُ وَقَالُوا مُعَلَّمٌ مَجْنُونٌ}:
Chapter.“Then they had turned away from him (Messenger Muhammad) and said: (He is) taught (by a human being), a madman!" (V.44:14)
Hadith Number: 4824
حدثنا بشر بن خالد، اخبرنا محمد، حدثنا شعبة، عن سليمان، ومنصور، عن ابي الضحى، عن مسروق، قال: قال عبد الله، إن الله بعث محمدا صلى الله عليه وسلم، وقال: قل ما اسالكم عليه من اجر وما انا من المتكلفين سورة ص آية 86، فإن رسول الله صلى الله عليه وسلم لما راى قريشا استعصوا عليه، فقال:" اللهم اعني عليهم بسبع كسبع يوسف"، فاخذتهم السنة حتى حصت كل شيء حتى اكلوا العظام والجلود، فقال احدهم: حتى اكلوا الجلود والميتة، وجعل يخرج من الارض كهيئة الدخان، فاتاه ابو سفيان: فقال: اي محمد إن قومك قد هلكوا، فادع الله ان يكشف عنهم، فدعا، ثم قال:" تعودون بعد هذا في حديث منصور"، ثم قرا: فارتقب يوم تاتي السماء بدخان مبين إلى عائدون سورة الدخان آية 10 - 15 انكشف عذاب الآخرة فقد مضى الدخان، والبطشة، واللزام، وقال احدهم: القمر، وقال الآخر: والروم.
Hum se Bishr bin Khalid ne byaan kiya , kaha hum ko Muhammad ne khabar di , unhein Shubah ne , unhein Sulayman aur Mansoor ne , unhein Abu al-Duha ne aur un se Masrooq ne byaan kiya ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha ke Allah Ta'ala ne Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ko maboos kiya aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya «qul ma as'alukum alayhi min ajrin wa ma ana minal mutakallifeena» ke ”keh do ke main tum se kisi ajr ka talib nahi hoon aur na main banawati baatein karne walon mein se hoon .“ Phir jab Aap ne dekha ke Quraysh inad se baaz nahi aate to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un ke haq mein bad-dua ki ke ”Ae Allah! In ke khilaf meri madad aise qaht se kar jaisa Yusuf alaihissalam ke zamana mein para tha .“ (phir) qaht para aur har cheez khatam ho gayi . Log hadiyan aur chamre khane par majboor ho gaye (Sulayman aur Mansoor) rawiyaan e hadees mein se ek ne byaan kiya ke woh chamre aur murdaar khane par majboor ho gaye aur zameen se dhuwaan sa nikalne laga . Aakhir Abu Sufyan aaye aur kaha ke Ae Muhammad salla Allahu alaihi wasallam! Aap ki qaum halak ho chuki , Allah se dua kijiye ke un se qaht ko door kar de . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dua farmayi aur qaht khatam ho gaya . Lekin is ke baad woh phir kufr ki taraf laut gaye . Mansoor ki riwayat mein hai ke phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh aayat parhi «fartaqib yawma ta'tis-sama'u bi-dukhaanim mubeenin» ”to Aap is roz ka intizar karein jab aasman ki taraf ek nazar aane wala dhuwaan paida ho .“ «aa'idoona» tak . Kya aakhirat ka azab bhi un se door ho sake ga ? ”dhuwaan“ aur ”sakht pakar“ aur ”halakat“ guzar chuke . Baaz ne ”chaand“ aur baaz ne ”ghalba e Room“ ka bhi zikr kiya hai ke yeh bhi guzar chuka hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة