الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ: {أَفَرَأَيْتَ الَّذِي كَفَرَ بِآيَاتِنَا وَقَالَ لأُوتَيَنَّ مَالاً وَوَلَدًا}:
Chapter. The Statement of Allah:“Have you seen him who disbelieved in Our Ayat (this Quran and Muhammad) and said: ’I shall certainly be given wealth and children?’ " (V.19:77)
Show diacritics
Hadith Number: 4732
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، قال: سمعت خبابا، قال:" جئت العاص بن وائل السهمي اتقاضاه حقا لي عنده، فقال: لا اعطيك حتى تكفر بمحمد صلى الله عليه وسلم، فقلت: لا، حتى تموت، ثم تبعث، قال: وإني لميت، ثم مبعوث، قلت: نعم، قال: إن لي هناك مالا وولدا، فاقضيكه، فنزلت هذه الآية افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا سورة مريم آية 77".رواه الثوري، وشعبة، وحفص، وابو معاوية، ووكيع، عن الاعمش.
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Abu al-Duha (Muslim bin Sabeeh) ne , un se Masrooq bin Ajda ne byaan kiya ke main ne Khabbab bin Aratt razi Allahu anhu se suna , unhon ne kaha ke main Aas bin Wa'il Sahmi ke paas apna haq maangne gaya to woh kehne laga ke jab tak tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam se kufr nahi karo ge main tumhein mazdoori nahi doon ga . Main ne is par kaha ke yeh kabhi nahi kar sakta . Yahan tak ke tum marne ke baad phir zinda kiye jao . Is par woh bola , kya marne ke baad phir mujhe zinda kiya jaye ga ? Main ne kaha haan , zaroor , kehne laga ke phir wahan bhi mere paas maal aulad ho gi aur main wahin tumhari mazdoori bhi de doon ga . Is par yeh aayat nazil hui «afara'ayt-allazhi kafara bi-ayaatina wa qaala la-ootayanna maalan wa waladan» ke ”bhala Aap ne is shakhs ko bhi dekha jo hamari nishaniyon se kufr karta hai aur kehta hai ke mujhe maal aur aulad mil kar rahein ge .“ Is hadees ko Sufyan Sawri aur Shubah aur Hafs aur Abu Muawiyah aur Waki ne bhi Aamash se riwayat kiya hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain