الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
سورة الرَّعْدِ:
SURAT AR-RAD (The Thunder)
Hadith Number: Q4697-2
وقال ابن عباس: كباسط كفيه: مثل المشرك الذي عبد مع الله إلها آخر غيره، كمثل العطشان الذي ينظر إلى ظل خياله في الماء من بعيد وهو يريد ان يتناوله ولا يقدر، وقال غيره: سخر: ذلل، متجاورات متدانيات، وقال غيره: المثلات: واحدها مثلة وهي الاشباه والامثال، وقال: إلا مثل ايام الذين خلوا، بمقدار: بقدر، يقال: معقبات: ملائكة حفظة تعقب الاولى منها الاخرى، ومنه قيل: العقيب، اي عقبت في إثره المحال العقوبة، كباسط كفيه إلى الماء: ليقبض على الماء، رابيا: من ربا يربو، او متاع زبد: مثله المتاع ما تمتعت به، جفاء، يقال: اجفات القدر إذا غلت فعلاها الزبد ثم تسكن فيذهب الزبد بلا منفعة فكذلك يميز الحق من الباطل المهاد: الفراش، يدرءون: يدفعون دراته عني دفعته، سلام عليكم: اي يقولون سلام عليكم، وإليه متاب: توبتي، افلم ييئس: افلم يتبين، قارعة: داهية، فامليت: اطلت من الملي والملاوة ومنه مليا، ويقال للواسع الطويل من الارض ملى من الارض، اشق: اشد من المشقة، معقب: مغير، وقال مجاهد: متجاورات: طيبها وخبيثها السباخ، صنوان: النخلتان او اكثر في اصل واحد، وغير صنوان: وحدها، بماء واحد: كصالح بني آدم وخبيثهم، ابوهم واحد، السحاب الثقال الذي فيه الماء، كباسط كفيه إلى الماء، يدعو الماء بلسانه، ويشير إليه بيده، فلا ياتيه ابدا، فسالت اودية بقدرها: تملا بطن كل واد، زبدا رابيا: الزبد زبد السيل، زبد مثله خبث الحديد والحلية.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «ka-baasiti kaffayhi» yeh mushrik ki misal hai jo Allah ke siwa doosron ki pooja karta hai jaise pyaasa aadmi pani ka tasawwur kar ke door se pani ki taraf hath barhaye aur is ko na le sake . Doosre logon ne kaha «sakh-khara» ke maani tabedar kiya , musakh-khar kiya . «mutajawiraatun» ek doosre se milay huay , qareeb qareeb . «al-masulaatu» , «masulatun» ki jama hai yani jora aur mushaba . Aur doosri aayat mein hai «illa misla ayyamillazhina khalaw» magar mushaba dinon in logon ke jo pehle guzar gaye «bi-miqdarin» yani andaze se , jorr se . «mu'aqqibaatun» nigahban farishte jo ek doosre ke baad baari baari aate rehte hain , isi se «aqeebun» ka lafz nikla hai . Arab log kehte hain «aqabtu fee isrihi» yani main ne is ke nishaan e qadam par peeche peeche gaya . «al-mihaalu» azab . «ka-baasiti kaffayhi ilal ma'i» jo donon hath barha kar pani lena chahe . «raabiyan» , «raba» , «yarbu» se nikla hai yani barhne wala ya oopar tairne wala . «al-mata'u» jis cheez se tu faida uthaye usay kaam mein laye . «jufa'an» , «ajfa'at-il-qidru» se nikla hai yani haandi ne josh maara jhaag oopar aa gaya phir jab haandi thandi hoti hai to phain jhaag bekar sookh kar fana ho jata hai . Haq baatil se isi tarah juda ho jata hai . «al-mihaadu» bichhona . «yadra'oona» dhakelte hain , dafa karte hain yeh «dara'tuhu» se nikla hai yani main ne is ko door kiya , dafa kar diya . «salamun alaykum» yani farishte Musalmanon ko kehte jayein ge tum salamat raho . «wa ilayhi mataabi» main isi ki dargaah mein tauba karta hoon . «afalam yay'asi» kya unhon ne nahi jaana . «qariatun» aafat , museebat . «fa-amlaytu» main ne dheela chhora , mohlat di yeh lafz «maliyyun» aur «malawatun» se nikla hai . Isi se nikla hai jo Jibraeel ki hadees mein hai . «falabistu maliyyan» (ya Quran mein hai) «wahjurni maliyyan» aur kushada lambi zameen ko «malaa» kehte hain . «ashaqqu» , «af-alut-tafseeli» ka sigha hai mushaqqat se yani bahut sakht . «mu'aqqiba la mu'aqqiba li-hukmihi» mein yani nahi badalne wala aur Mujahid ne kaha «mutajawiraatun» ka maani yeh hai ke baaze qate umdah qabil e zara'at hain baaz kharab shore khare hain . «sinwanun» woh khajoor ke darakht jin ki jarr mili hui ho (ek hi jarr par kharay hon) . «ghayra sinwanin» alag alag jarr par sab hi ek pani se ugte hain (ek hi hawa se ek hi zameen mein) aadmiyon ki bhi yahi misal hai koi achha koi bura haalan ke sab ek baap Adam ki aulad hain . «as-sahabas-siqaala» woh baadal jin mein pani bhara hua ho aur woh pani ke bojh se bhaari bhar-kam hon . «ka-baasiti kaffayhi» yani is shakhs ki tarah jo door se hath phaila kar pani ko zaban se bulaye , hath se is ki taraf isharah kare is surat mein pani kabhi is ki taraf nahi aaye ga . «saalat awdiyatun bi-qadariha» yani naale apne andaze se behte hain yani pani bhar kar «zabadan raabiyan» se murad behte pani ka phain jhaag «zabadum misluhu» se lohe , zewaraat waghaira ka phain jhaag murad hai . Lafz «mu'aqqibaatun» se murad yeh hai ke raat ke farishte alag aur din ke alag hain .