الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلُهُ: {يَسْأَلُونَكَ عَنِ الأَنْفَالِ قُلِ الأَنْفَالُ لِلَّهِ وَالرَّسُولِ فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَصْلِحُوا ذَاتَ بَيْنِكُمْ}:
Chapter. The Statement of Allah:“They ask you (O Muhammad) about Al-Anfal (the spoils of war). Say: ’The spoils are for Allah and the Messenger ’. So fear Allah and adjust all matters of difference among you..." (V.8:1)
Hadith Number: Q4645
قال ابن عباس: الانفال: المغانم، قال قتادة: ريحكم الحرب يقال نافلة عطية.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke «al-anfaalu» ke maani ghanimatein hain . Qatadah ne kaha ke lafz «reehukum» se larai murad hai (yani agar tum aapas mein niza karo ge to larai mein tumhari hawa ukharr jaye gi) . Lafz «nafilatun» atiya ke maani mein bola jata hai .
Hadith Number: 4645
حدثني محمد بن عبد الرحيم، حدثنا سعيد بن سليمان، اخبرنا هشيم، اخبرنا ابو بشر، عن سعيد بن جبير، قال: قلت لابن عباس رضي الله عنهما سورة الانفال، قال: نزلت في بدر الشوكة الحد". مردفين: فوجا بعد فوج ردفني واردفني جاء بعدي، ذوقوا: باشروا وجربوا وليس هذا من ذوق الفم، فيركمه: يجمعه، شرد: فرق، وإن جنحوا: طلبوا السلم، والسلم، والسلام، واحد، يثخن: يغلب، وقال مجاهد: مكاء: إدخال اصابعهم في افواههم، وتصدية: الصفير، ليثبتوك: ليحبسوك.
Mujh se Muhammad bin Abdur Raheem ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Saeed bin Sulayman ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Hushaym ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Abu Bishr ne khabar di , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se Surah al-Anfaal ke mutalliq poocha . Unhon ne batlaya ke Ghazwa Badr mein nazil hui thi . «ash-shaukatu» ka maani dhaar nauk . «murdifeena» ke maani fauj dar fauj . Kehte hain «radafani wa ardafani» yani mere baad aaya . «zhalikum fazhooqoohu zhooqoo» ka maani yeh hai ke yeh azab uthao is ka tajurba karo , munh se chakhna murad nahi hai . «fayarkumahu» ka maani is ka jama kare . «sharrid» ka maani juda kar de (ya sakht saza de) . «janahoo» ke maani talab karein . «yuskhina» ka maani ghalib hua aur Mujahid ne kaha «muka'un» ka maani ungliyaan munh par rakhna . «tasdiyatun» seeti bajana . «yusbitooka» taake tujh ko qaid kar lein .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة