الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {وَلَمَّا جَاءَ مُوسَى لِمِيقَاتِنَا وَكَلَّمَهُ رَبُّهُ قَالَ رَبِّ أَرِنِي أَنْظُرْ إِلَيْكَ قَالَ لَنْ تَرَانِي وَلَكِنِ انْظُرْ إِلَى الْجَبَلِ فَإِنِ اسْتَقَرَّ مَكَانَهُ فَسَوْفَ تَرَانِي فَلَمَّا تَجَلَّى رَبُّهُ لِلْجَبَلِ جَعَلَهُ دَكًّا وَخَرَّ مُوسَى صَعِقًا فَلَمَّا أَفَاقَ قَالَ سُبْحَانَكَ تُبْتُ إِلَيْكَ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُؤْمِنِينَ}:
Chapter.“And when Musa (Moses) came at the time and place appointed by Us, and his Lord (Allah) spoke to him, he said, ’O my Lord! Show me (Yourself) that I may look upon You.’ ”(V.7:143)
Hadith Number: Q4638
قال ابن عباس: ارني: اعطني.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «arini» , «aatini» ke maani mein hai ke de tu mujh ko , yani apna deedar ata kar .
Hadith Number: 4638
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن عمرو بن يحيى المازني، عن ابيه، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، قال: جاء رجل من اليهود إلى النبي صلى الله عليه وسلم قد لطم وجهه، وقال يا محمد: إن رجلا من اصحابك من الانصار لطم في وجهي، قال:" ادعوه"، فدعوه، قال:" لم لطمت وجهه؟" قال: يا رسول الله، إني مررت باليهود، فسمعته، يقول: والذي اصطفى موسى على البشر، فقلت: وعلى محمد، واخذتني غضبة، فلطمته، قال:" لا تخيروني من بين الانبياء، فإن الناس يصعقون يوم القيامة، فاكون اول من يفيق، فإذا انا بموسى آخذ بقائمة من قوائم العرش، فلا ادري افاق قبلي ام جزي بصعقة الطور"، المن والسلوى.
Hum se Muhammad bin Yusuf ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , un se Amr bin Yahya Mazni ne , un se un ke walid Yahya Mazni ne aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke ek Yahudi Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua , is ke munh par kisi ne tamancha maara tha . Is ne kaha: Ae Muhammad! Aap ke Ansari sahabah mein se ek shakhs ne mujhe tamancha maara hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhein bulao . Logon ne unhein bulaya , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se poocha tum ne usay tamancha kyun maara hai ? Is ne arz kiya: ya Rasool Allah! Main Yahudiyon ki taraf se guzra to main ne suna ke yeh keh raha tha . Is zaat ki qasam! Jis ne Musa alaihissalam ko tamam insanon par fazeelat di . Main ne kaha aur Muhammad salla Allahu alaihi wasallam par bhi . Mujhe is ki baat par ghussa aa gaya aur main ne usay tamancha maar diya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke mujhe anbiya par fazeelat na diya karo . Qayamat ke din tamam log be-hosh kar diye jayein ge . Sab se pehle main hosh mein aaoon ga lekin main Musa alaihissalam ko dekhoon ga ke woh Arsh ka ek paya pakre kharay hon ge ab mujhe nahi maloom ke woh mujh se pehle hosh mein aa gaye ya Toor ki be-hoshi ka unhein badla diya gaya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة