الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ
Chapter.
Hadith Number: Q4635-2
وكيل حفيظ ومحيط به. قبلا: جمع قبيل، والمعنى انه ضروب للعذاب كل ضرب منها قبيل، زخرف القول: كل شيء حسنته ووشيته وهو باطل فهو زخرف، وحرث حجر: حرام وكل ممنوع فهو حجر محجور، والحجر كل بناء بنيته، ويقال للانثى من الخيل: حجر، ويقال للعقل: حجر، وحجى، واما الحجر: فموضع ثمود وما حجرت عليه من الارض فهو حجر، ومنه سمي حطيم البيت حجرا، كانه مشتق من محطوم، مثل قتيل من مقتول، واما حجر اليمامة: فهو منزل".
Wakeel se murad Hafeez aur is par nigran ya is ko gherne wala . «qubulan» , «qabeel» ki jama hai yani azab ki qasmein . «qabeel» ek ek qasm . «zukhrufan» laghwa aur bekar cheez (ya baat) jis ko zahir mein aarasta pairasta karein . ( «zukhrufal qauli» chakni chupri baatein) . «harsun hijrun» yani roki gayi . «hijrun» kehte hain haram aur mamnoo ko . Isi se hai «hijran mahjooran» aur «hijrun» imarat ko bhi kehte hain aur mada ghoriyon ko bhi aur aqal ko bhi «hijrun» aur «hijja» kehte hain aur «as-haabul hijri» mein Samood ki basti wale murad hain aur jis zameen ko tu rok de is mein koi aane aur janwar churane na paye is ko bhi «hijrun» kehte hain . Isi se Khana Kaaba ke «hateem» ko «hijrun» kehte hain . «hateem» , «mahtoom» ke ma'non mein hai jaise «qateel» , «maqtool» ke maani mein ab raha Yamama ka «hijrun» to woh ek maqam ka naam hai .