الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {وَكُنْتُ عَلَيْهِمْ شَهِيدًا مَا دُمْتُ فِيهِمْ فَلَمَّا تَوَفَّيْتَنِي كُنْتَ أَنْتَ الرَّقِيبَ عَلَيْهِمْ وَأَنْتَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ شَهِيدٌ}:
Chapter.“And I was a witness over them while I dwelt amongst them; but when You took me up, You were the Watcher over them, and You are a Witness to all things.”(V.5:117)
Show diacritics
Hadith Number: 4625
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، اخبرنا المغيرة بن النعمان، قال: سمعت سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: خطب رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" يا ايها الناس إنكم محشورون إلى الله حفاة عراة غرلا، ثم قال: كما بدانا اول خلق نعيده وعدا علينا إنا كنا فاعلين سورة الانبياء آية 104 إلى آخر الآية، ثم قال: الا وإن اول الخلائق يكسى يوم القيامة إبراهيم، الا وإنه يجاء برجال من امتي، فيؤخذ بهم ذات الشمال، فاقول: يا رب اصحابي، فيقال: إنك لا تدري ما احدثوا بعدك، فاقول: كما قال العبد الصالح، وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم فلما توفيتني كنت انت الرقيب عليهم وانت على كل شيء شهيد سورة المائدة آية 117، فيقال:" إن هؤلاء لم يزالوا مرتدين على اعقابهم منذ فارقتهم".
Hum se Abu al-Waleed ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum ko Mugheerah bin Numan ne khabar di , unhon ne kaha ke main ne Saeed bin Jubayr se suna aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne khutba diya aur farmaya ke ae logo! Tum Allah ke paas jama kiye jao ge , nange paon nange jism aur baghair khatna ke , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh aayat parhi «kama bada'na awwala khalqin nueeduhu waadan alayna inna kunna failina» ”jis tarah hum ne awwal baar paida karne ke waqt ibtida ki thi , isi tarah usay dobara zinda kar dein ge , hamare zimma waada hai , hum zaroor usay kar ke hi rahein ge .“ Aakhir aayat tak . Phir farmaya Qayamat ke din tamam makhlooq mein sab se pehle Ibrahim alaihissalam ko kapra pehnaya jaye ga . Haan aur meri ummat ke kuch logon ko laya jaye ga aur unhein jahannum ki bayein taraf le jaya jaye ga . Main arz karoon ga , mere Rabb! Yeh to mere ummati hain ? Mujh se kaha jaye ga , Aap ko nahi maloom hai ke unhon ne Aap ke baad nayi nayi baatein shariat mein nikali thien . Is waqt main bhi wahi kahoon ga jo Abd e Salih Esa alaihissalam ne kaha ho ga «wa kuntu alayhim shaheedan ma dumtu feehim falamma tawaffaytani kunta antar-raqeeba alayhim» ke ”main un ka haal dekhta raha jab tak main un ke darmiyan raha , phir jab tu ne mujhe utha liya (jab se) tu hi un par nigran hai .“ Mujhe bataya jaye ga ke Aap ki judayi ke baad yeh log deen se phir gaye thay .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain