الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابٌ:
Chapter.
Hadith Number: Q4606-2
حرم: واحدها حرام، فبما نقضهم: بنقضهم، التي كتب الله: جعل الله، تبوء تحمل دائرة: دولة، وقال غيره: الإغراء التسليط، اجورهن سورة المائدة آية 5: مهورهن.
«hurumun» , «haraamun» ki jama hai (yani ihram bandhe huay ho) . «fabi-ma naqdihim» , «meesaaqahum» se yeh murad hai ke Allah ne jo hukm un ko diya tha ke Bayt al-Muqaddas mein dakhil ho jao woh nahi baja laye . «taboo'a bi-ismi» yani tu mera gunah utha le ga . «da'iratun» ke maani zamana ki gardish . Aur doosre logon ne kaha «ighra'un» ka maani musallat karna , daal dena . «ujoora-hunna» yani un ke mahr . «al-muhayminu» ka maani amanatdar (nigahban) Quran goya agli aasmani kitabon ka muhafiz hai . Sufyan Sawri ne kaha saare Quran mein is se zyada koi aayat mujh par sakht nahi hai woh aayat yeh hai «lastum ala shay'in hatta tuqeemu-ttaurata wal injeela» al-kh (kyunke is aayat mein yeh hai ke jab tak koi Allah ki kitab ke muwafiq sab hukm-on par mazbooti se amal na kare , is waqt tak is ka deen o iman laiyq e itibar nahi hai) . «makhmasatun» ke maani bhook . «man ahyaaha» yani jis ne nahaq aadmi ka khoon karna haram samjha goya sab aadmi is ki wajah se zinda rahe . «shir-atun wa minhajun» se rasta aur tariqa murad hai .