الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {وَمَنْ كَانَ فَقِيرًا فَلْيَأْكُلْ بِالْمَعْرُوفِ فَإِذَا دَفَعْتُمْ إِلَيْهِمْ أَمْوَالَهُمْ فَأَشْهِدُوا عَلَيْهِمْ} الآيَةَ:
Chapter.“...But I fhe (the guardian) is poor, let him have for himself what is just and reasonable (acording to his work). And when you release their property to them, take witness in their presence; and Allah is All-Sufficient in taking account.”(V.4:6)
Hadith Number: Q4575
وبدارا: مبادرة، اعتدنا: اعددنا، افعلنا من العتاد.
«bidaran» bamaani «mubadaratan» jaldi karna . «atadna» bamaani «adadna» , «ataadun» se . «af-alna» ke wazan par jis ke maani hum ne tayyar kiya .
Hadith Number: 4575
حدثني إسحاق، اخبرنا عبد الله بن نمير، حدثنا هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، في قوله تعالى:" ومن كان غنيا فليستعفف ومن كان فقيرا فلياكل بالمعروف سورة النساء آية 6، انها نزلت في والي اليتيم إذا كان فقيرا، انه ياكل منه مكان قيامه عليه بمعروف".
Hum se Ishaq bin Rahwayh ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Numayr ne khabar di , kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , un se un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne Allah Ta'ala ke irshad «wa man kana ghaniyyan falyastaffif wa man kana faqeeran falyakul bil-maroofi» ”balkay jo shakhs khush-hal ho woh apne ko bilkul roke rakkhe . Albatta jo shakhs nadar ho woh wajibi taur par kha sakta hai .“ Ke baare mein farmaya ke yeh aayat yateem ke baare mein utri hai ke agar wali nadar ho to yateem ki parwarish aur dekh bhaal ki ujrat mein woh wajibi taur par (yateem ke maal mein se kuch) kha sakta hai (basharte ke niyat mein fasad na ho) .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة