الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {رَبَّنَا إِنَّنَا سَمِعْنَا مُنَادِيًا يُنَادِي لِلإِيمَانِ} الآيَةَ:
Chapter.“Our Lord! Verily, we have heard the call of one (i.e., Muhammad) calling to Faith...”(V.3:193)
Show diacritics
Hadith Number: 4572
حدثنا قتيبة بن سعيد، عن مالك، عن مخرمة بن سليمان، عن كريب مولى ابن عباس، ان ابن عباس رضي الله عنهما، اخبره:" انه بات عند ميمونة زوج النبي صلى الله عليه وسلم وهي خالته، قال: فاضطجعت في عرض الوسادة، واضطجع رسول الله صلى الله عليه وسلم واهله في طولها، فنام رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى إذا انتصف الليل، او قبله بقليل، او بعده بقليل، استيقظ رسول الله صلى الله عليه وسلم، فجلس يمسح النوم عن وجهه بيده، ثم قرا العشر الآيات الخواتم من سورة آل عمران، ثم قام إلى شن معلقة، فتوضا منها فاحسن وضوءه، ثم قام يصلي، قال ابن عباس: فقمت فصنعت مثل ما صنع، ثم ذهبت فقمت إلى جنبه، فوضع رسول الله صلى الله عليه وسلم يده اليمنى على راسي، واخذ باذني اليمنى يفتلها، فصلى ركعتين، ثم ركعتين، ثم ركعتين، ثم ركعتين، ثم ركعتين، ثم ركعتين، ثم اوتر، ثم اضطجع حتى جاءه المؤذن، فقام فصلى ركعتين خفيفتين، ثم خرج فصلى الصبح".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , un se Imam Malik ne , un se Makhramah bin Sulayman ne , un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke ghulam Kurayb ne aur unhein Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di ke Aap ek martaba Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Maimoona razi Allahu anha ke ghar reh gaye . Maimoona razi Allahu anha un ki khala thien . Unhon ne byaan kiya ke main bistar ke arz mein lait gaya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Aap ki biwi ttool mein laytay , phir Aap so gaye aur aadhi raat mein ya is se thori der pehle ya thori der baad Aap jaage aur baith kar chehra par neend ke aasar door karne ke liye hath pherne lage aur Surah Aal e Imran ki aakhri das aayat parhien . Is ke baad Aap mushkeeza ke paas gaye jo latka hua tha , is se tamam aadab ke saath Aap ne wuzu kiya , phir namaz ke liye kharay huay . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke main bhi utha aur main ne bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ki tarah wuzu waghaira kiya aur ja kar Aap ke bazu mein khara ho gaya , to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apna dahna hath mere sar par rakkha aur (shafqat se) mere dahne kaan ko pakar kar malne lage . Phir Aap ne do rakat namaz parhi , phir do rakat parhi , phir do rakat parhi , phir do rakat parhi , phir do rakat parhi , phir do rakat parhi aur aakhir mein unhein witr banaya , phir Aap lait gaye aur jab muazzin Aap ke paas aaya to Aap uthay aur do halki rakatmein parh kar bahar masjid mein tashreef le gaye aur subah ki namaz parhayi .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain