الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ قَوْلِهِ عَزَّ وَجَلَّ: {فَإِنْ خِفْتُمْ فَرِجَالاً أَوْ رُكْبَانًا فَإِذَا أَمِنْتُمْ فَاذْكُرُوا اللَّهَ كَمَا عَلَّمَكُمْ مَا لَمْ تَكُونُوا تَعْلَمُونَ}:
Chapter. Allah’s Statement:“If you fear (any enemy), perform Salat (prayer) on foot or riding. And when you are in safety...”(V.2:239)
Hadith Number: Q4535
وقال ابن جبير: كرسيه: علمه يقال بسطة زيادة وفضلا افرغ انزل، ولا يئوده: لا يثقله آدني اثقلني والآد والايد القوة السنة نعاس يتسنه يتغير، فبهت: ذهبت حجته، خاوية: لا انيس فيها، عروشها: ابنيتها ننشرها نخرجها، إعصار: ريح عاصف تهب من الارض إلى السماء كعمود فيه نار , وقال ابن عباس: صلدا: ليس عليه شيء , وقال عكرمة: وابل: مطر شديد الطل الندى وهذا مثل عمل المؤمن يتسنه يتغير.
Saeed bin Jubayr ne kaha «wasia kursiyyuhu» mein «kursi» se murad Parvardigar ka ilm hai . (yeh tawili mafhoom hai ihtiyat isi mein hai ke zahir manon mein tasleem kar ke haqiqat ko ilm e Ilahi ke hawala kar diya jaye) . «bastatan» se murad ziyadati aur fazeelat hai . «afrigh» ka matlab anzhil hai yani hum par sabr nazil farma . Lafz «wa la yaooduhu» ka matlab yeh ke is par baar nahi hai . Isi se lafz «aadani» hai yani mujh ko is ne bojhal bana diya aur lafz «aad» aur «al-ayd» quwwat ko kehte hain . Lafz «as-sinatu» oongh ke maani mein hai . «lam yatasannah» ka maani nahi bigra . Lafz «fabuhita» ka maani daleel se hare ga . Lafz «khawiyatun» yani khali jahan koi rafeeq na ho . Lafz «urooshuha» se murad is ki amaratein hain . «nunshiruha» ke maani hum nikalte hain . Lafz «isaarun» ke maani tund hawa jo zameen se uth kar aasman ki taraf ek satoon ki tarah ho jati hai . Is mein aag hoti hai . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha lafz «saldan» yani chakna saaf jis par kuch bhi na rahe aur Ikrimah ne kaha lafz «wabilun» zor ke meenh par bola jata hai aur lafz «tallun» ke maani shabnam ous ke hain . Yeh momin ke naik amal ki misal hai ke woh zaya nahi jata . «yatasannah» ke maani badal jaye , bigar jaye .
Hadith Number: 4535
حدثنا عبد الله بن يوسف , حدثنا مالك , عن نافع، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما , كان إذا سئل عن صلاة الخوف , قال:"يتقدم الإمام وطائفة من الناس، فيصلي بهم الإمام ركعة وتكون طائفة منهم بينهم وبين العدو لم يصلوا، فإذا صلى الذين معه ركعة استاخروا مكان الذين لم يصلوا، ولا يسلمون ويتقدم الذين لم يصلوا فيصلون معه ركعة، ثم ينصرف الإمام وقد صلى ركعتين، فيقوم كل واحد من الطائفتين، فيصلون لانفسهم ركعة بعد ان ينصرف الإمام , فيكون كل واحد من الطائفتين قد صلى ركعتين، فإن كان خوف هو اشد من ذلك صلوا رجالا قياما على اقدامهم او ركبانا مستقبلي القبلة او غير مستقبليها"، قال مالك: قال نافع: لا ارى عبد الله بن عمر ذكر ذلك إلا , عن رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , kaha hum se Imam Malik ne byaan kiya , un se Nafi ne ke jab Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se namaz e khauf ke mutalliq poocha jata to woh farmate ke Imam Musalmanon ki ek jama'at ko le kar khud aage barhe aur unhein ek rakat namaz parhaye . Is dauran mein Musalmanon ki doosri jama'at un ke aur dushman ke darmiyan mein rahe . Yeh log namaz mein abhi shareek na hon , phir jab Imam in logon ko ek rakat parha chuke jo pehle is ke saath thay to ab yeh log peeche hat jayein aur un ki jagah le lein , jinon ne ab tak namaz nahi parhi hai , lekin yeh log salam na pherein . Ab woh log aage barhein jinon ne namaz nahi parhi hai aur Imam unhein bhi ek rakat namaz parhaye , ab Imam do rakat parh chukne ke baad namaz se farigh ho chuka . Phir donon jama'atein (jinon ne alag alag Imam ke saath ek ek rakat namaz parhi thi) apni baqi ek ek rakat ada kar lein . Jabke Imam apni namaz se farigh ho chuka hai . Is tarah donon jama'aton ki do do rakat poori ho jayein gi . Lekin agar khauf is se bhi zyada hai to har shakhs tanha namaz parh le , paidal ho ya sawar , qibla ki taraf rukh ho ya na ho . Imam Malik ne byaan kiya , un se Nafi ne ke mujh ko yaqeen hai ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne yeh baatein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se sun kar hi byaan ki hain .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة