الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ: {وَمِنْ حَيْثُ خَرَجْتَ فَوَلِّ وَجْهَكَ شَطْرَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ وَإِنَّهُ لَلْحَقُّ مِنْ رَبِّكَ وَمَا اللَّهُ بِغَافِلٍ عَمَّا تَعْمَلُونَ}:
Chapter.“And from wheresoever you start forth (for prayers) turn your face in the direction of Al- Masjid-al-Haram (at Makkah)...”(V.2:149)
Show diacritics
Hadith Number: Q4493
شطره: تلقاؤه.
Lafz «Shatrahu» ke maani qibla ki taraf ke hain .


Show diacritics
Hadith Number: 4493
حدثنا موسى بن إسماعيل , حدثنا عبد العزيز بن مسلم , حدثنا عبد الله بن دينار , قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنهما، يقول:" بينا الناس في الصبح بقباء إذ جاءهم رجل، فقال:" انزل الليلة قرآن، فامر ان يستقبل الكعبة فاستقبلوها واستداروا كهيئتهم فتوجهوا إلى الكعبة، وكان وجه الناس إلى الشام".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya , unhone kaha hum se Abdul Aziz bin Muslim ne bayan kiya , un se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya , kaha ke main ne Ibn Umar rz se suna , unhone bayan kiya ke log Quba mein subah ki namaz parh rahe thay ke ek sahab aaye aur kaha ke raat Quran nazil hua hai aur Kaaba ki taraf munh kar lene ka hukm hua hai . Is liye aap log bhi Kaaba ki taraf munh kar lein aur jis halat mein hain , isi tarah us ki taraf mutawajja ho jayein (yeh sunte hi) tamam Sahaba rz Kaaba ki taraf mutawajja ho gaye . Is waqt logon ka munh Shaam ki taraf tha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain