الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب تَفْسِيرِ الْقُرْآنِ
The Book of Commentary
بَابُ مَا جَاءَ فِي فَاتِحَةِ الْكِتَابِ:
Chapter. What has been said about Fatiha-tul-Kitab (i.e., the Opening of the Book).
Show diacritics
Hadith Number: Q4474
وسميت ام الكتاب انه يبدا بكتابتها في المصاحف ويبدا بقراءتها في الصلاة، والدين الجزاء في الخير والشر كما تدين تدان، وقال مجاهد: بالدين بالحساب مدينين محاسبين.
«umm» , maan ko kehte hain . «umm al-kitab» is Surah ka naam is liye rakkha gaya hai ke Quran Majeed mein isi se kitabat ki ibtida hoti hai . (isi liye isay «fatihatul kitab» bhi kaha gaya hai) aur namaz mein bhi qirat isi se shuru ki jati hai aur «ad-deen» badla ke maani mein hai . Khwah achhayi mein ho ya burayi mein jaisa ke (bolte hain) «kama tadeenu tudaanu» . (jaisa karo ge waisa bharo ge) . Mujahid ne kaha ke «ad-deen» hisab ke maani mein hai jabke «madeeneen» bamaani «muhasabeen» hai yani hisab kiye gaye .


Show diacritics
Hadith Number: 4474
حدثنا مسدد , حدثنا يحيى , عن شعبة , قال: حدثني خبيب بن عبد الرحمن , عن حفص بن عاصم , عن ابي سعيد بن المعلى، قال: كنت اصلي في المسجد، فدعاني رسول الله صلى الله عليه وسلم فلم اجبه، فقلت: يا رسول الله، إني كنت اصلي، فقال:" الم يقل الله استجيبوا لله وللرسول إذا دعاكم لما يحييكم سورة الانفال آية 24، ثم قال لي:" لاعلمنك سورة هي اعظم السور في القرآن قبل ان تخرج من المسجد"، ثم اخذ بيدي، فلما اراد ان يخرج، قلت له: الم تقل لاعلمنك سورة هي اعظم سورة في القرآن؟ قال:" الحمد لله رب العالمين سورة الفاتحة آية 2 هي السبع المثاني، والقرآن العظيم الذي اوتيته".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Shubah ne byaan kiya ke mujh se Khubayb bin Abdur Rahman ne byaan kiya , un se Hafs bin Aasim ne aur un se Abu Saeed bin al-Mualla razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main masjid mein namaz parh raha tha , Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe isi halat mein bulaya , main ne koi jawab nahi diya (phir baad mein , main ne hazir ho kar) arz kiya: ya Rasool Allah! Main namaz parh raha tha . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kya Allah Ta'ala ne tum se nahi farmaya hai «astajeebu lillahi wa lirrahooli izha daakum» ”Allah aur us ke Rasool jab tumhein bulayein to haan mein jawab do .“ Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya ke aaj main tumhein masjid se nikalne se pehle ek aisi surat ki taleem doon ga jo Quran ki sab se bari surat hai . Phir Aap ne mera hath apne hath mein liya aur jab Aap bahar nikalne lage to main ne yaad dilaya ke Aap ne mujhe Quran ki sab se bari surat batane ka waada kiya tha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya «alhamdu lillahi rabbil aalameen» yahi woh saba masani aur Quran e Azeem hai jo mujhe ata kiya gaya hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain