الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ إِذَا نَزَلَ الْعَدُوُّ عَلَى حُكْمِ رَجُلٍ:
Chapter. If the enemy is ready to accept the judgement of a Muslim (his judgement will be valid if the Imam agrees to it).
Show diacritics
Hadith Number: 3043
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن سعد بن إبراهيم، عن ابي امامة هو ابن سهل بن حنيف عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه قال: لما نزلت بنو قريظة على حكم سعد هو ابن معاذ، بعث رسول الله صلى الله عليه وسلم وكان قريبا منه فجاء على حمار فلما دنا، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قوموا إلى سيدكم فجاء فجلس إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: له إن هؤلاء نزلوا على حكمك، قال: فإني احكم ان تقتل المقاتلة وان تسبى الذرية، قال: لقد حكمت فيهم بحكم الملك".
Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya ‘ kaha hum se Shuba ne bayan kiya ‘ in se Saad Bin Ibrahim ne ‘ in se Abu Umama ne ‘ jo Sahl Bin Hunaif ke larke thay ke Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya jab Banu Quraiza Saad Bin Maaz (Radi Allahu Anhu) ki saalsi ki shart par hathiyar daal kar qila se utar aaye to Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein (Saad Radi Allahu Anhu ko) bulaya. Aap wahin qareeb hi ek jagah thehre hue thay (kyunke zakhmi thay) Saad (Radi Allahu Anhu) gadhe par sawar ho kar aaye ‘ jab wo aap ke qareeb pahunche to aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ‘ apne sardar ki taraf khare ho jao (aur un ko sawari se utaaro) aakhir aap utar kar Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke qareeb aa kar baith gaye. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke in logon (Banu Quraiza ke yahudi) ne aap ki saalsi ki shart par hathiyar daal diye hain. (is liye aap un ka faisla kar dein) unhon ne kaha ke phir mera faisla ye hai ke un mein jitne aadmi larne wale hain ‘ unhein qatl kar diya jaye ‘ aur un ki auraton aur bacchon ko ghulam bana liya jaye. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tu ne Allah Ta'ala ke hukm ke mutabiq faisla kiya hai
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain