الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ الْجَنَّةُ تَحْتَ بَارِقَةِ السُّيُوفِ:
Chapter. Paradise is under the blades of swords (Jihad in Allah’s Cause).
Hadith Number: Q2818
وقال: المغيرة بن شعبة، اخبرنا نبينا صلى الله عليه وسلم، عن رسالة ربنا من قتل منا صار إلى الجنة، وقال عمر: للنبي صلى الله عليه وسلم" اليس قتلانا في الجنة، وقتلاهم في النار، قال: بلى.
Aur Mugheera Bin Shuba (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke humein hamare Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apne Rab ka ye paigham diya hai ke hum mein se jo bhi (Allah ke raste mein) qatl kiya jaye, wo seedha jannat mein jaye ga aur Umar (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha kya hamare maqtool jannati aur un ke (kuffar ke) maqtool dozakhi nahi hain? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha kyun nahi
.
.
Hadith Number: 2818
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا معاوية بن عمرو، حدثنا ابو إسحاق، عن موسى بن عقبة، عن سالم ابي النضر مولى عمر بن عبيد الله وكان كاتبه، قال: كتب إليه عبد الله بن ابي اوفى رضي الله عنهما ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" واعلموا ان الجنة تحت ظلال السيوف"، تابعه الاويسي، عن ابن ابي الزناد، عن موسى بن عقبة".
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Muawiyah Bin Amr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Ishaq ne bayan kiya Musa Bin Uqba se, un se Umar Bin Ubaidullah ke maula Salim Abul Nazr ne (Salim Umar Bin Ubaidullah ke katib bhi thay) bayan kiya ke Abdullah Bin Abi Aufa (Radi Allahu Anhu) ne Umar Bin Ubaidullah ko likha tha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya hai yaqeen jano jannat talwaron ke saye ke neeche hai. Is riwayat ki mutabiat Uwaisi ne Ibn Abi-uz-Zinad ke wasta se ki un se Musa Bin Uqba ne bayan kiya
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة