الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْوَصَايَا
The Book of Wasaya (Wills and Testaments)
بَابُ إِذَا وَقَفَ أَرْضًا أَوْ بِئْرًا وَاشْتَرَطَ لِنَفْسِهِ مِثْلَ دِلاَءِ الْمُسْلِمِينَ:
Chapter. If somebody keeps a piece of land or a well as an endowment, or stipulates that he should benefit by its water as the other Muslims do (will this be permissible)?
Show diacritics
Hadith Number: Q2778
واوقف انس دارا، فكان إذا قدمها نزلها وتصدق الزبير بدوره، وقال للمردودة من بناته: ان تسكن غير مضرة، ولا مضر بها، فإن استغنت بزوج فليس لها حق، وجعل ابن عمر نصيبه من دار عمر سكنى لذوي الحاجة من آل عبد الله.
Aur Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne ek ghar waqf kiya tha (Madinah mein) jab kabhi Madinah aate ' is ghar mein qiyam kiya karte thay aur Zubair (Radi Allahu Anhu) ne apne gharon ko waqf kar diya tha aur apni ek mutallaqa larki se farmaya tha ke wo is mein qiyam karein lekin is ghar ko nuqsan na pahunchayein aur na is mein koi doosra nuqsan kare aur jo khawand wali beti hoti us ko wahan rehne ka haq nahi aur Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne Umar (Radi Allahu Anhu) ke (waqf karda) ghar mein rehne ka hissa apni muhtaj aulad ko de diya tha
.


Show diacritics
Hadith Number: 2778
وقال عبدان: اخبرني ابي، عن شعبة، عن ابي إسحاق، عن ابي عبد الرحمن، ان عثمان رضي الله عنه حين حوصر اشرف عليهم، وقال: انشدكم الله، ولا انشد إلا اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم، الستم تعلمون ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" من حفر رومة فله الجنة فحفرتها، الستم تعلمون، انه قال: من جهز جيش العسرة فله الجنة، فجهزتهم، قال: فصدقوه بما قال. وقال عمر:" في وقفه لا جناح على من وليه ان ياكل وقد يليه الواقف وغيره فهو واسع لكل".
Abdan ne bayan kiya ke mujhe mere walid ne khabar di ' unhein Shuba ne ' unhein Abu Ishaq ne ' unhein Abu Abdur Rahman ne ke jab Usman Ghani (Radi Allahu Anhu) muhasare mein liye gaye to (apne ghar ke) upar charh kar aap ne baghiyon se farmaya mein tum ko Allah ki qasam de kar poochta hoon aur sirf Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ashaab se qasmiya poochta hoon ke kya aap logon ko maloom nahi hai ke jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jo shakhs Beer-e-Romah ko khode ga aur ise musalmano ke liye waqf kar dega to ise jannat ki bisharat hai to mein ne hi is kunwein ko khoda tha. Kya aap logon ko maloom nahi hai ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jab farmaya tha ke Jaish-e-Usrat (ghazwa Tabook par jaane wale lashkar) ko jo shakhs saaz-o-saman se lais kar dega to ise jannat ki bisharat hai to mein ne hi ise musallah kiya tha. Rawi ne bayan kiya ke aap ki in baaton ki sab ne tasdeeq ki thi. Umar (Radi Allahu Anhu) ne apne waqf ke mutaliq farmaya tha ke is ka muntazim agar is mein se khaye to koi harj nahi hai. Zahir hai ke muntazim khud waqif bhi ho sakta hai aur kabhi doosre bhi ho sakte hain aur har ek ke liye ye jaiz hai
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain