الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الشَّهَادَاتِ
The Book of Witnesses
بَابُ مَا جَاءَ فِي الْبَيِّنَةِ عَلَى الْمُدَّعِي:
Chapter. What is said regarding the rule that the plaintiff has to produce a proof.
Show diacritics
Hadith Number: Q2637
لقوله تعالى: يايها الذين آمنوا إذا تداينتم بدين إلى اجل مسمى فاكتبوه وليكتب بينكم كاتب بالعدل ولا ياب كاتب ان يكتب كما علمه الله فليكتب وليملل الذي عليه الحق وليتق الله ربه ولا يبخس منه شيئا فإن كان الذي عليه الحق سفيها او ضعيفا او لا يستطيع ان يمل هو فليملل وليه بالعدل واستشهدوا شهيدين من رجالكم فإن لم يكونا رجلين فرجل وامراتان ممن ترضون من الشهداء ان تضل إحداهما فتذكر إحداهما الاخرى ولا ياب الشهداء إذا ما دعوا ولا تساموا ان تكتبوه صغيرا او كبيرا إلى اجله ذلكم اقسط عند الله واقوم للشهادة وادنى الا ترتابوا إلا ان تكون تجارة حاضرة تديرونها بينكم فليس عليكم جناح الا تكتبوها واشهدوا إذا تبايعتم ولا يضار كاتب ولا شهيد وإن تفعلوا فإنه فسوق بكم واتقوا الله ويعلمكم الله والله بكل شيء عليم سورة البقرة آية 282، وقول الله عز وجل: يايها الذين آمنوا كونوا قوامين بالقسط شهداء لله ولو على انفسكم او الوالدين والاقربين إن يكن غنيا او فقيرا فالله اولى بهما فلا تتبعوا الهوى ان تعدلوا وإن تلووا او تعرضوا فإن الله كان بما تعملون خبيرا سورة النساء آية 135.
Kyun ke Allah Ta'ala ne (Surah Al-Baqarah mein) farmaya hai "Ae iman walo! jab tum aapas mein udhaar ka mamla kisi muddat-e-muqarrara tak ke liye karo to is ko likh liya karo aur lazim hai ke tumhare darmiyan likhne wala theek sahi likhe aur likhne se inkar na kare. Jaisa ke Allah ne is ko sikhaya hai. Pas chahiye ke wo likh de aur chahiye ke wo shaks likhwaye jis ke zimme haq wajib hai aur chahiye ke wo apne Parvardigar Allah se darta rahe aur is mein se kuch bhi kam na kare. Phir agar wo jis ke zimme haq wajib hai kam-aql ho ya ye ke kamzor ho aur is qabil na ho ke wo khud likhwa sake to lazim hai ke is ka karkun theek theek likhwa de aur apne mardon mein se do ko gawah kar liya karo. Phir agar donon mard na hon to ek mard aur do auratein hon, in gawanhon mein se jinhein tum pasand karte ho taake in do auraton mein se ek doosri ko yaad dila de agar koi ek in donon mein se bhool jaye aur gawah jab bulaye jayein to inkar na karein aur is (mamle) ko khwah wo chota ho ya bara, is ki miyad tak likhne se akta na jao, ye kitabat Allah ke nazdeek zyada se zyada insaf se nazdeek hai aur gawahi ko durust tar rakhne wali hai aur zyada layak is ke ke tum shuba mein na paro, bajuz is ke ke koi sauda hathon hath ho jise tum baaham lete dete hi rehte ho. So tum par is mein koi ilzam nahi ke tum ise na likho aur jab khareed-o-farokht karte ho tab bhi gawah kar liya karo aur kisi katib aur gawah ko nuqsan na diya jaye aur agar aisa karo ge to ye tumhare haq mein ek gunah ho ga aur Allah se darte raho aur Allah tumhein sikhata hai aur Allah har cheez ka bahut janne wala hai". Aur Allah Ta'ala ka irshad hai ke "Ae iman walo! insaf par khoob qaim rehne wale aur Allah ke liye gawahi dene wale ban kar raho. Chahe tumhare ya (tumhare) walidain aur azizon ke khilaf hi kyun na ho. Wo ameer ho ya muflis, Allah (bahar-hal) donon se zyada haqdar hai. To khwahish-e-nafs ki pairwi na karna ke (haq se) hat jao aur agar tum kaji karo ge ya pehlu tahi karo ge, to jo kuch tum kar rahe ho, Allah is se khoob khabardar hai
.