الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْمَظَالِمِ
The Book of Al-Mazalim
بَابُ الآبَارِ عَلَى الطُّرُقِ إِذَا لَمْ يُتَأَذَّ بِهَا:
Chapter. The digging of wells on the ways (is permissible) if they do not cause truble to the people.
Hadith Number: 2466
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن سمي مولى ابي بكر، عن ابي صالح السمان، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" بينا رجل بطريق اشتد عليه العطش فوجد بئرا فنزل فيها فشرب، ثم خرج، فإذا كلب يلهث ياكل الثرى من العطش، فقال الرجل: لقد بلغ هذا الكلب من العطش مثل الذي كان بلغ مني، فنزل البئر فملا خفه ماء فسقى الكلب فشكر الله له فغفر له، قالوا: يا رسول الله، وإن لنا في البهائم لاجرا، فقال: في كل ذات كبد رطبة اجر".
Hum se Abdullah Bin Maslamah ne bayan kiya, un se Imam Malik ne, un se Abu Bakr ke ghulam Sumi ne, un se Abu Salih Samman ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, ek shakhs raste mein safar kar raha tha ke ise piyas lagi. Phir ise raste mein ek kunwan mila aur wo is ke andar utar gaya aur pani piya. Jab bahar aya to is ki nazar ek kutte par pari jo haanp raha tha aur piyas ki sakhti se keechar chaat raha tha. Is shakhs ne socha ke is waqt ye kutta bhi piyas ki itni hi shiddat mein mubtala hai jis mein mein tha. Chunanche wo phir kunwen mein utra aur apne joote mein pani bhar kar us ne kutte ko pilaya. Allah Ta'ala ke han is ka ye amal maqbool hua. aur is ki maghfirat kar di gayi. Sahaba ne poocha, Ya Rasul Allah kya janwaroon ke silsila mein bhi humein ajr milta hai ? To Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke han, har jandar makhlooq ke silsila mein ajr milta hai
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة