الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْمَظَالِمِ
The Book of Al-Mazalim
بَابُ إِثْمِ مَنْ خَاصَمَ فِي بَاطِلٍ وَهْوَ يَعْلَمُهُ:
Chapter. The sin of a man who quarrels unjustly over something while he knows that he is wrong.
Hadith Number: 2458
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان زينب بنت ام سلمة اخبرته، ان امها ام سلمة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم اخبرتها، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، انه سمع خصومة بباب حجرته فخرج إليهم، فقال:" إنما انا بشر، وإنه ياتيني الخصم، فلعل بعضكم ان يكون ابلغ من بعض، فاحسب انه صدق، فاقضي له بذلك، فمن قضيت له بحق مسلم، فإنما هي قطعة من النار فلياخذها او فليتركها".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se Salih Bin Kaisan ne aur un se Ibn Shihab ne ke mujhe Urwah Bin Zubair (Radi Allahu Anhu) ne khabar di, unhein Zainab Bint Umm-e-Salama (Radi Allahu Anhuma) ne khabar di aur unhein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki zauja mutahira Umm-e-Salama (Radi Allahu Anha) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apne hujre ke darwaze ke samne jhagrey ki aawaz suni aur jhagrah karne walon ke paas tashreef laye. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne in se farmaya ke mein bhi ek insan hoon. Is liye jab mere yahan koi jhagrah lay kar aata hai to ho sakta hai ke (fareeqain mein se) ek fareeq ki behas doosre fareeq se umdah ho, mein samajhta hoon ke wo saccha hai. Aur is tarah mein is ke haq mein faisla kar deta hoon, lekin agar mein is ko (is ke ظahiri bayan par bharosa kar ke) kisi Musalman ka haq dila doon to dozakh ka ek tukra is ko dila raha hoon, wo lay lay ya chhor day
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة