الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الشُّرْبِ والْمُسَاقَاةِ
The Book of Watering
بَابُ إِثْمِ مَنْ مَنَعَ ابْنَ السَّبِيلِ مِنَ الْمَاءِ:
Chapter. The sin of him who withholds water from wayfarer and travellers.
Hadith Number: 2358
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد بن زياد، عن الاعمش، قال: سمعت ابا صالح، يقول: سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ثلاثة لا ينظر الله إليهم يوم القيامة ولا يزكيهم ولهم عذاب اليم: رجل كان له فضل ماء بالطريق فمنعه من ابن السبيل، ورجل بايع إماما لا يبايعه إلا لدنيا فإن اعطاه منها رضي وإن لم يعطه منها سخط، ورجل اقام سلعته بعد العصر". فقال: والله الذي لا إله غيره، لقد اعطيت بها كذا وكذا، فصدقه رجل، ثم قرا هذه الآية إن الذين يشترون بعهد الله وايمانهم ثمنا قليلا سورة آل عمران آية 77.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Wahid Bin Ziyad ne bayan kiya, un se Aamash ne bayan kiya ke mein ne Abu Salih se suna, wo bayan karte thay ke mein ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya teen tarah ke log wo honge jin ki taraf Qiyamat ke din Allah Ta'ala nazar bhi nahi uthaye ga aur na unhein paak karega, balkay un ke liye dard naak azab ho ga. Ek wo shakhs jis ke paas raste mein zaroorat se ziyada pani ho aur us ne kisi musafir ko is ke istemal se rok diya. Doosra wo shakhs jo kisi hakim se baiat sirf duniya ke liye kare ke agar wo hakim ise kuch day to wo razi rahe warna khafa ho jaye. Teesre wo shakhs jo apna (bechne ka) saman asar ke baad lay kar khara hua aur kehne laga ke is Allah ki qasam jis ke siwa koi saccha maboud nahi, mujhe is saman ki qeemat itni itni mil rahi thi, is par ek shakhs ne ise sach samjha (aur is ki batayi hui qeemat par is saman ko khareed liya) phir Aap ne is ayat ki tilawat ki «إن الذين يشترون بعهد الله وأيمانهم ثمنا قليلا» ”Jo log Allah ko darmiyan mein day kar aur jhooti qasmein kha kar duniya ka thora sa maal mol lete hain“ aakhir tak
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة