الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْمُزَارَعَةِ
The Book of Cultivation and Agriculture
بَابُ إِذَا قَالَ رَبُّ الأَرْضِ أُقِرُّكَ مَا أَقَرَّكَ اللَّهُ وَلَمْ يَذْكُرْ أَجَلاً مَعْلُومًا فَهُمَا عَلَى تَرَاضِيهِمَا:
Chapter. If the owner of the land (says to the tenant), "let you utilize the land as long as Allah permits you," and does not mention a specfic time for the expiration of the lease, then the lease can be continued according to the approval of both the parties.
Hadith Number: 2338
حدثنا احمد بن المقدام، حدثنا فضيل بن سليمان، حدثنا موسى، اخبرنا نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم. وقال عبد الرزاق: اخبرنا ابن جريج، قال: حدثني موسى بن عقبة، عن نافع، عن ابن عمر،" ان عمر بن الخطاب رضي الله عنهما اجلى اليهود، والنصارى من ارض الحجاز، وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم لما ظهر على خيبر اراد إخراج اليهود منها، وكانت الارض حين ظهر عليها لله ولرسوله صلى الله عليه وسلم وللمسلمين، واراد إخراج اليهود منها، فسالت اليهود رسول الله صلى الله عليه وسلم ليقرهم بها، ان يكفوا عملها ولهم نصف الثمر؟ فقال لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم: نقركم بها على ذلك ما شئنا، فقروا بها حتى اجلاهم عمر إلى تيماء، واريحاء".
Hum se Ahmad Bin Miqdam ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Fudail Bin Sulaiman ne bayan kiya, un se Musa Bin Uqbah ne bayan kiya ke unhein Nafi ne khabar di, aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (jab Khaibar par) fatah hasil ki thi (doosri sanad) aur Abdur Razzaq ne kaha ke hum ko Ibn Jurayj ne khabar di, kaha ke mujh se Musa Bin Uqbah ne bayan kiya, un se Nafi ne, un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) ne Yahoodiyon aur Isaiyon ko sar-zameen-e-Hijaz se nikal diya tha aur jab Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Khaibar par fatah payi to Aap ne bhi Yahoodiyon ko wahan se nikalna chaha tha. Jab Aap ko wahan fatah hasil hui to is ki zameen Allah aur is ke Rasul (Sallallahu Alaihi Wasallam) aur Musalmanon ki ho gayi thi. Aap ka irada Yahoodiyon ko wahan se bahar karne ka tha, lekin Yahoodiyon ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se darkhwast ki ke Aap humein yahin rehne dein. Hum (Khaibar ki arazi ka) saara kaam khud kareinge aur is ki paidawar ka nisf hissa lay leinge. Is par Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke accha jab tak hum chahein tumhe is shart par yahan rehne dein ge. Chunanche wo log wahin rahe aur phir Umar (Radi Allahu Anhu) ne unhein Taima aur Ariha ki taraf jala watan kar diya
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة