الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْوَكَالَةِ
The Book of Representation
بَابُ إِذَا أَبْصَرَ الرَّاعِي أَوِ الْوَكِيلُ شَاةً تَمُوتُ أَوْ شَيْئًا يَفْسُدُ ذَبَحَ وَأَصْلَحَ مَا يَخَافُ عَلَيْهِ الْفَسَادَ:
Chapter. If a shepherd or a deputy saw dying sheep or something which is going to be spoiled, he is allowed to slaughter the sheep and save the thing liable to be spoiled.
Show diacritics
Hadith Number: 2304
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، سمع المعتمر، انبانا عبيد الله، عن نافع، انه سمع ابن كعب بن مالك يحدث، عن ابيه:" انه كانت لهم غنم ترعى بسلع، فابصرت جارية لنا بشاة من غنمنا موتا، فكسرت حجرا فذبحتها به، فقال لهم: لا تاكلوا حتى اسال النبي صلى الله عليه وسلم، او ارسل إلى النبي صلى الله عليه وسلم من يساله، وانه سال النبي صلى الله عليه وسلم عن ذاك او ارسل، فامره باكلها"، قال عبيد الله: فيعجبني انها امة، وانها ذبحت، تابعه عبدة، عن عبيد الله.
Hum se Ishaq Bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne Mutamir se suna, unhon ne kaha ke hum ko Ubaidullah ne khabar di, unhein Nafi ne, unhon ne Ibn Kaab Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna, wo apne walid se bayan karte thay ke un ke paas bakriyon ka ek rewar tha. Jo Silla pahari par charne jata tha (unhon ne bayan kiya ke) humari ek bandi ne humare hi rewar ki ek bakri ko (jab ke wo char rahi thi) dekha ke marne ke qareeb hai. Us ne ek patthar tor kar us se us bakri ko zibah kar diya. Unhon ne apne ghar walon se kaha ke jab tak mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ke baare mein mein pooch na loon is ka gosht na khana. Ya (yun kaha ke) jab tak mein kisi ko Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein is ke baare mein poochne ke liye na bhejoon, chunanche unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ke baare mein poocha, ya kisi ko (poochne ke liye) bheja, aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is ka gosht khane ke liye hukum farmaya. Ubaidullah ne kaha ke mujhe ye baat ajeeb maloom hui ke bandi (aurat) hone ke bawajood us ne zibah kar diya. Is Riwayat ki mutabiyat Abdah ne Ubaidullah ke wasta se ki hai
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain