الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيفه همام بن منبه
Sahifah Hammam ibn Munabbih
متفرق
Miscellaneous
Spoils of War Were Not Permitted for Previous Nations and a Prophet’s Story
Hadith Number: 124
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " غزا نبي من الانبياء، فقال للقوم: لا يتبعني رجل قد كان ملك بضع امراة يريد ان يبني بها ولما يبني، ولا آخر بنى بناء له ولما يرفع سقفها، ولا آخر قد اشترى غنما او خلفات وهو ينتظر ولادها، فغزا فدنا القرية حين صلى العصر او قريبا من ذلك، فقال للشمس: انت مامورة وانا مامور، اللهم احبسها علي شيئا، فحبست عليه حتى فتح الله عليه، فجمعوا ما غنموا، فاقبلت النار لتاكله فابت ان تطعمه، فقال: فيكم غلول، فليبايعني من كل قبيلة رجل، فبايعوه فلصقت يد رجل بيده فقال: فيكم الغلول، فلتبايعني قبيلته، فبايعته قبيلته فلصق يد رجلين او ثلاثة بيده، فقال: فيكم الغلول، انتم غللتم، قال: فاخرجوا له مثل راس بقرة من ذهب فوضعوه في المال وهو بالصعيد فاقبلت النار فاكلته، قال: فلم تحل الغنائم لاحد من قبلنا، ذلك بان الله راى ضعفنا وعجزنا فطيبها لنا"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”(Guzashta) Anbiya Alaihim-us-Salam mein se ek Nabi ne ladayi ki tayyari ki aur unhon ne qaum se kaha: aisa shakhs meri ittiba na kare jis ne shadi ki hai aur wo apni biwi se shab-e-zafaf guzarne ka mutamanni ho lekin abhi apni biwi se khalwat-nasheen nahi hua, aur na wo shakhs meri pairwi kare jis ne apna makan tameer kiya hai lekin is par chhat nahi chadhayi, aur na wo shakhs chale jis ne gaabhan bakriyan aur gaabhan oontniyan khareedi hain aur wo un ke bacche paida hone ka muntazir hai, phir is Nabi ne jang ladi, namaz-e-asr ke waqt ya asr ke qareeb is basti mein pahunche to is Nabi Alaihis Salam ne sooraj se kaha: ”Tu bhi Amr-e-Ilahi ka paaband hai aur mein bhi Amr-e-Ilahi ka paaband hoon.“ (Is ke baad Allah ke huzoor dua ki) Ae Allah! is sooraj ko kuch waqt mere khatir rook de. Phir sooraj rook diya gaya, hatta ke Allah ne unhein fatah-yab farmaya, phir logon ne maal-e-ganimat jama kiya (jab jama kar chuke to) phir ise luqma (jalane) ke liye aag aayi, lekin us ne luqma (jalane) banane (khane) se inkar kar diya. Is par is Nabi Alaihis Salam ne kaha: tum mein se kisi aadmi ne (maal-e-ganimat) mein khiyanat ki hai. Lehaza har qabile ka ek ek aadmi mere haath par bai'at kare, phir jab silsila-e-bai'at shuru hua to ek aadmi ka haath is Nabi Alaihis Salam ke haath se chimat gaya. To Nabi Alaihis Salam ne farmaya: khiyanat karne wala aadmi tumhare hi qabile mein maujood hai, lehaza ab tumhara poora qabila mere haath par bai'at kare. Chunancha unhon ne bai'at ki aur phir do ya teen aadmiyon ke haath Nabi Alaihis Salam ke haath se chimat gaye. Nabi Alaihis Salam ne farmaya: khiyanat tumhare qabile walon ne ki hai. Aakhir-e-kaar wo gaye ke sar ke barabar sona nikal laye (jo maal-e-ganimat mein se chura liya gaya tha) aur ise maal-e-ganimat mein rakh diya, phir aag aayi aur is maal ko luqma bana liya.“ (Aakhir mein) Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Hum se pehle logon ke liye ganimat ka maal jaiz nahi tha. Lekin Allah Ta'ala ne hamari kamzori aur aajzi ke pesh-e-nazar is maal ko hamare liye jaiz bana diya.“
تخریج الحدیث: «صحيح بخاري، كتاب فرض الخمس، باب قول النبى صلى الله عليه وسلم وأحلت لكم الغنائم، رقم: 3124، حدثنا محمد بن العلاء عن ابن المبارك، عن معمر، عن همام بن منبه، عن أبى هريرة رضى الله عنه قال: قال النبى صلى الله عليه وسلم: .... - صحيح مسلم، كتاب الجهاد والسير، باب تحليل الغنائم لهذه الأمة خاصة، رقم: 1747/32، حدثنا محمد بن رافع: حدثنا عبدالرزاق: أخبرنا معمر عن همام بن منبه، قال: هذا ما حدثنا أبو هريرة عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، فذكر أحاديث منها: وقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: .... - مسند أحمد: 102/16، رقم: 128/8221 - مصنف عبدالرزاق، كتاب الجهاد، باب الغلول، رقم: 9492 - شرح السنة، باب حل الغنيمة لهذه الأمة، رقم: 2719.»