الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْوُضُوءِ
The Book of Wudu (Ablution)
بَابُ مَسْحِ الرَّأْسِ كُلِّهِ:
Chapter. To pass wet hands over the whole head during ablution.
Show diacritics
Hadith Number: Q185
لقول الله تعالى: {وامسحوا برءوسكم}. وقال ابن المسيب المراة بمنزلة الرجل تمسح على راسها. وسئل مالك ايجزئ ان يمسح بعض الراس فاحتج بحديث عبد الله بن زيد.
Kiunki Allah Ta’ala ka irshaad hai ke "Apne saron ka masah karo." Aur Ibn-e-Musaiyab ne kaha hai ke sar ka masah karne mein aurat mard ki tarah hai. Woh (bhi) apne sar ka masah kare. Imam Malik Rahimahullah se poocha gaya ke kya kuch hissah sar ka masah karna kaafi hai? To unhon ne daleel mein Abdullah bin Zaid ki (yeh) Hadees pesh ki, yani poore sar ka masah karna chaahiye.


Show diacritics
Hadith Number: 185
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن عمرو بن يحيى المازني، عن ابيه، ان رجلا قال لعبد الله بن زيد وهو جد عمرو بن يحيى: اتستطيع ان تريني كيف كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يتوضا؟ فقال عبد الله بن زيد: نعم،" فدعا بماء، فافرغ على يده فغسل مرتين، ثم مضمض واستنثر ثلاثا، ثم غسل وجهه ثلاثا، ثم غسل يديه مرتين مرتين إلى المرفقين، ثم مسح راسه بيديه فاقبل بهما وادبر بدا بمقدم راسه حتى ذهب بهما إلى قفاه ثم ردهما إلى المكان الذي بدا منه، ثم غسل رجليه".
Hum se Abdullah bin Yousuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Imam Malik ne ’Amr bin Yahya Al-Maazini se khabar di, woh apne baap se naql karte hain ke ek aadmi ne Abdullah bin Zaid Radhiallahu Anhu jo ’Amr bin Yahya ke daada hain, se poocha ke kya aap mujhe dikha sakte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis tarah Wuzu kiya hai? Abdullah bin Zaid Radhiallahu Anhu ne kaha ke haan! Phir unhon ne paani ka bartan mangwaaya pehle paani apne haathon par daala aur do martaba haath dhoye. Phir teen martaba kulli ki, teen baar naak saaf ki, phir teen dafa apna chehra dhoya. Phir kohniyon tak apne dono haath do do martaba dhoye. Phir apne dono haathon se apne sar ka masah kiya. Is taur par apne haath (pehle) aage laaye phir peeche le gaye. (Masah) sar ke ibtidaayi hisse se shuru kiya. Phir dono haath guddi tak le jaa kar wahien waapas laaye jahaan se (masah) shuru kiya tha, phir apne pair dhoye.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain