الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب جَزَاءِ الصَّيْدِ
The Book of Penalty For Hunting
بَابُ الْمُحْرِمِ يَمُوتُ بِعَرَفَةَ:
Chapter. A Muhrim died at Arafat and the prophet ﷺ did not order anybody to finish the remaining ceremonies of Hajj on his behalf.
Show diacritics
Hadith Number: Q1849
ولم يامر النبي صلى الله عليه وسلم ان يؤدى عنه بقية الحج.
Aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ye hukm nahi kiya ke Hajj ke baqi arkan is ke taraf se ada kiye jayein
.


Show diacritics
Hadith Number: 1849
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن عمرو بن دينار، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" بينا رجل واقف مع النبي صلى الله عليه وسلم بعرفة، إذ وقع عن راحلته، فوقصته، او قال: فاقعصته، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: اغسلوه بماء وسدر، وكفنوه في ثوبين، او قال: ثوبيه، ولا تحنطوه، ولا تخمروا راسه، فإن الله يبعثه يوم القيامة يلبي".
Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne bayan kiya, un se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke maidan-e-Arafat mein ek shakhs Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath thehra hua tha ke apni ontni se gir para aur is ontni ne is ki gardan tod dali, Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke pani aur beri ke patton se usay ghusl do aur ihram hi ke do kapron ka kafan do lekin khushboo na lagana na is ka sar chupana kyunke Allah Ta'ala qayamat mein usay labbaik kehte hue uthaye ga
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1850
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد، عن ايوب، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" بينا رجل واقف مع النبي صلى الله عليه وسلم بعرفة، إذ وقع عن راحلته فوقصته، او قال: فاوقصته، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: اغسلوه بماء وسدر، وكفنوه في ثوبين، ولا تمسوه طيبا، ولا تخمروا راسه، ولا تحنطوه، فإن الله يبعثه يوم القيامة ملبيا".
Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, un se Ayyub ne bayan kiya, un se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke ek shakhs Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath Arafat mein thehra hua tha ke apni ontni se gir para aur is ne is ki gardan tod di, to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke usay pani aur beri se ghusl de kar do kapron (ihram walon hi mein) kafna do lekin khushboo na lagana, na sar chupana aur na hanoot lagana kyunke Allah Ta'ala qayamat mein usay labbaik pukaarte hue uthaye ga
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain