Izhaar-e-Tashakkur

Hum un tamam bhaiyon aur behno ke shukar-guzar hain jinhon ne is software ki takmeel mein kisi bhi tarah apna hissa dala. Allah Ta'ala hamari aur aap ki koshishon ko apni bargah mein qubool farmaye. Aap bhi mazeed kutub shamil karne, Hadith type karne, ya proofreading mein madad kar ke is project ka hissa ban sakte hain.

Allah Ta'ala ise hamare liye, hamare walidain, hamare aziza-o-aqarib, aur un tamam hazraat ke liye jinhon ne is project mein hissa liya, unke walidain aur ghar walon ke liye, aur hamare mohtaram ustad Maulana Muhammad Husain Kaleem (Rahimahullah) ke liye Sadqa-e-Jariyah banaye. Ameen.

Aye Rabb-ul-Alameen! Hum tere aajiz, nacheez aur gunehgar bande hain. Apne fazl-o-karam se Hadith ki is adna si khidmat ko qubool farma, aur qayamat ke din ise hamare liye Rasool-e-Maqbool ﷺ ki shafa'at ka zariya bana. Ameen.